Set of two prints of Ball Room Dancing in Red fort
a) The State Lancers Dancing at the Viceroy's Durbar Ball, in Diwan-I-Am, Delhi Fort, Held to Celebrate the Coronation of Edward VII
1902
Later hand-coloured photolithograph on paper
14.25 x 20 in (36.2 x 51.2 cm)
Jalwa-e-darbar-e-delhi: a nazm by Akbar Allahabadi for the occasion
sar men shauq ka sauda dekha 
dehli ko ham ne bhi ja dekha 
jo kuchh dekha achchha dekha 
kya batlaen kya kya dekha 
jamuna-ji ke paat ko dekha 
achchhe suthre ghaat ko dekha 
sab se unche laat ko dekha 
hazrat "duke-connaught" ko dekha 
paltan aur risale dekhe 
gore dekhe kaale dekhe 
sanginen aur bhale dekhe 
band bajane vaale dekhe 
khemon ka ik jangal dekha 
us jangal men mangal dekha 
barahma aur varangal dekha 
izzat khvahon ka danggal dekha 
sadken thiin har kamp se jaari 
paani tha har pump se jaari 
nuur ki maujen lamp se jaari 
tezi thi har jump se jaari 
Daali men narangi dekhi 
mahfil men sarangi dekhi 
bairangi bara??gi dekhi 
dahr ki ranga-rangi dekhi 
achchhe-achchhon ko bhaTka dekha 
bhiid men khate jhatka dekha 
munh ko agarche laTtka dekha 
dil darbar se aTka dekha 
hathi dekhe bhari-bharkam .br.un ka chalna kam kam tham tham 
zarrin jhulen nuur ka aalam 
milon tak vo cham-cham cham-cham 
pur tha pahlu-e-masjid-e-jame 
raushaniyan thiin har-su laame 
koi nahin tha kisi ka samea 
sab ke sab the diid ke taame 
surkhi sadak par kutti dekhi 
saans bhi bhiid men ghutti dekhi 
atish-bazi chhutti dekhi 
lutf ki daulat lutti dekhi 
chauki ik chau-lakhkhi dekhi 
khuub hi chakkhi-pakhkhi dekhi 
har-su ne amat rakkhi dekhi 
shahd aur duudh ki makkhi dekhi 
ek ka hissa mann-o-salva 
ek ka hissa thoda halva 
ek ka hissa bhiid aur balva 
mera hissa duur ka jalva 
avaj brish raaja dekha 
partav takht-o-taj ka dekha 
rang-e-zamana aaj ka dekha 
rukh corzon mahraj ka dekha 
pahunche phand ke saat samundar 
tahat men un ke bison bandar 
hikmat-o-danish un ke andar 
apni jagah har ek sikandar 
auj-e-bakht-e-mulaqi un ka 
charkh-e-haft-tabaaqi un ka 
mahfil un ki saaqi un ka 
ankhen meri baaqi un ka 
ham to un ke khair-talab hain 
ham kya aise hi sab ke sab hain 
un ke raaj ke umda Dhab hain 
sab saman-e-aish-o-tarab hain
egzibshan ki shaan anokhi 
har shai umda har shai chokhi 
aqlidas ki naapi jokhi 
man bhar sone ki lagat sokhi 
jashn-e-azim is saal hua hai 
shahi fort men ball hua hai 
raushan har ik hall hua hai 
qissa-e-mazi haal hua hai 
hai mashhur-e-kucha-e-barzan 
ball men nachen lady-corzon .br.tair-e-hosh the sab ke larzan 
rashk se dekh rahi thi har zan 
hall men chamkin aa ke yaka-yak 
zarrin thi poshak jhka-jhak 
mahv tha un ka auj-e-sama tak 
charkh pe zohra un ki thi gahak 
go raqqasa-e-auj-e-falak thi 
us men kahan ye nok-palak thi 
indr ki mahfil ki jhalak thi 
bazm-e-ishrat subh talak thi 
ki hai ye bandish zehn-e-rasa ne 
koi maane khvah na maane 
sunte hain ham to ye afsane 
jis ne dekha ho vo jaane
b) Melton Prior
The Imperial Durbar: The Viceroy and the Duke of Connaught Passing the Jama Masjid on their State Entry into Delhi, December 29th
Later hand-coloured photolithograph on paper
14.25 x 20.25 in (36.5 x 51.5 cm)
Lord Curzon (1859 - 1923), Viceroy of India, and Prince Arthur, Duke of Connaught (1850 - 1942) in procession past the Jama Masjid mosque in Delhi at the Coronation Durbar held to celebrate the accession of Edward VII, 29th December 1902.
Melton Prior (12 September 1845 - 2 November 1910), was an English artist and war correspondent for The Illustrated London News from the early 1870s until 1904. Prior was one of the leading illustrators of late Victorian Britain, noted for his ability to quickly sketch scenes. His pencil sketches were sent back to London where they were re-drawn by studio artists and engraved on wood-blocks for printing in the Saturday issues of the Illustrated London News. In addition to covering conflicts around the world, he also travelled on a number of Royal tours including accompanying the Prince of Wales to Canada in 1901. (Source: Wikipedia)
(Set of two)
This work will be shipped unframed
NON-EXPORTABLE